Hasbi Rabbi Jallallah lyrics | हसबि रब्बी जल्लल्लाह
Hasbi Rabbi Jallallah Mafi Qalbi Ghairullah Noor-e-Muhammad Sallallah La ilaha illallah Tere Sadqe main Aaqa Saare jahan ko deen mila Be-deenon ne kalma parha La ilaha illallah Simt-e-Nabi Bu Jahal gaya Aaqa se usne ye kaha Gar ho Nabi batlaao zara Meri muthi mai hai kya Aaqa ka farmaan hua Aur Fazl-e-Rahman hua Mutthi se kankar bola La ilaha illallah Dunya ke insaan sabhi Shirko bid’at karte the Rabb ke the banden fir bhi But ki ibaadat karte the But khane sab tharraye Mere Nabi hain jab aaye Kehnelagi makhlook-e-khuda La ilaha illallah Apni behen se bole Umar Ye to bata kya karti thi Mere aane se pehle Kya chhupke chhupke parhti thi Bahan ne jab Quran padha Sun ke kalaam-e-paak-e-khuda Dil ye umar ka bol uttha La ilaha illallah Wo jo Bilal e Habshi hai Sarwar-e- deen ka pyara hai Dunya ke har Aashiq ki Aankhon ka wo taara hai Zulm hue kitne un par Seenay pay rakha pathar Phir bhi zubaan par jaari tha La ilaha illallah Yaad nahi tumhe wo manzar Khuwaja ne jab khud chalkar Nabbe l...